'Is Baat Se Mehsoos Karo Kya Hai Sakeena (S.A)
Abbas (A.S) K Honton Ka Qaseeda Hai Sakeena (S.A)
Aaina e Zehra (S.A) Mein Jo Dekha Tera Bachpan
Har Aks Pukara K Tu Zehra (S.A) Hai Sakeena (S.A)
Jo Pyas K Parcham Ki Alamdar Hai Ab Tak
Abbas (A.S) Ki Woh Pyari Bhateeji Hai Sakeena (S.A)
Abbas (A.S) Ki Nazron Se Koi Parh K Toa Dekhay
Ehsas Ki Ek Nehjay Balagha Hai Sakeena (S.A)
Jo Mashk Mein Bhar Sakta Hai Duniya K Sumandar
Konain Mein Bas Woh Tera Sagga Hai Sakeena (S.A)
Har Umar K Haider (A.S) Ne Jhoolaya Tera Jhoola
Yeh Arooj Faqat Tu Ne Hi Paya Hai Sakeena (S.A)
Dariyaon K Lab Qalam Choom Rahay Hain
Main Ne Abhi Likha Nahi Socha Hai Sakeena (S.A)'
No comments:
Post a Comment